So finally,  here is the surprise guys ...... ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜ Mujhe lga nhi tha ki main kr paungi lekin mene try kiya h, ummeed aapko ye koshish psnd aayegi. ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š 



๐Ÿ’ ๐Ÿ”ถ๐Ÿ”ท๐Ÿ”ธ๐Ÿ”น๐Ÿ”นBanking story ๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”ธ๐Ÿ”ท๐Ÿ”ถ๐Ÿ’  episode -1 ....- " banking in India "




Ek bar apni apni life me settle ho jane k bad dosto ka milna kafi mushkil ho jata hai. Dost jinhe hm kbhi jan se jyada chahte the, jinke bina hmara din shuru hi nhi hota tha. ๐Ÿ˜‘๐Ÿ˜‘



Unhi dosto se ek time bad milna kafi energetic hota h. ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜๐Ÿ˜‰



Vibhu bhi aaj poore do sal bad apne sbhi dosto Sanwar, Sanyogi, Vaasu, Radhe, Pari aur Neha se milne wala tha isliye vo behad khush tha. ๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€



Vo เคฎुंเคฌเคˆ se 40 km door เฅšเคœเคฐीเค—ांเคต ke usi purane satimaai mohalle me phuch chuka tha. Vha rhne wale Sanwar ne apne sbhi dosto ko ek pooja k liye bulaya tha. Vibhu bhi time se phuch gya aur sbne ek sath pooja ki. Pooja ke bad khaana hua aur fir sbhi dost bate krne baith gye. 



" Aur bta Vibhu , Piya kaisi h , bat vat hoti h usse ya nhi? " Vaasu ne Vibhu ko chhedte hue poochha. 



" Nhi yar, vo apne police department me busy h aur mai apne bank me ,na use time milta h na mujhe " Vibhu ne udas si aavaj me kha, " yr  Vasu, ab to aisa lgta h ki do sal phle jo hua tha uske liye Piya mujhe hi glt samjhti hai , isliye bina khe hi sb khtm kr chuki h" 



" Abe yr ye sb bate bnd kro na , hm sb itne time bad mile hain, kuch happy wala scene bnate h, kuch creative krte h " pari ne chahkte hue kha.



" Haa meri heroine devi, theek h tu hi kr kuch creative " Vibhu ne kha.



" Ruko ruko " Sanyogi ne beech me hi sbko rok diya. Sb hairan se use dekh rhe the.



" Kya hua " sbne poocha.



" Mere pas ek idea h, hm sb apni saalo purani dosti ko fir se jinda krte h, fir se yd krte h lekin alg tareeke se , aur ye kam hmare dil toote bank manager saahab krenge " 



" Mai kaise " Vibhu ghabraya .



" Kaise mtlb kaise, jaise bank me din gadho ki trh kam krte ho vese .... "



" Mujhe kuch nhi samjh aa rha yr "



" Kyun nhi aa rha , hmari dosti ki history ko tm banking ki history ki trh sunao, aur hmesha ki trh hm sb tumhara sath denge " piya muskurai baaki sb dost taaliya bjane lge.



" Mujhse nhi hoga yr " Vibhu ne saf mna kiya.



" Aisa h manager babu , abhi taliya mil rhi h, history nhi sunai to fir gaaliya milegi aur bhi Radhe dega apne tareeke se "


Sanwar ne use blackmail kiya aur Radhe ne bhi bdi khushi se sir hilaya.



" Katai kameene log ho, sale poore 2 sal bd mile ho fir bhi torture , theek h sun lo lekin sbko sath dena pdega mera " 



Sbne ha me sir hilaya aur bachho ki trh khani sunne baith gye.



Vibhu un sbke saamne baith gya aur  kuch sochte hue bola ...



" Jis trh ek bank  money ka exchange krta h, deposit leta h, investment krta h, pay off krta h, loan deta h, currency exchange krta h usi trh hmari ye dosti bhi h, hm sato hi dost hmesha se ek dusre ki khushiya aur gam exchange krte h,  jyada tension ho to dusre ko Sawar ko deposit kr dete h , vo bechara rkh bhi leta h lekin fir use invest bhi krta h aur Sanyogi ka dimag khaata h, ye nalayak hmara Radhe, hm sbko galiyo ka loan deta rhta h, aur mai yani ki Vibhu tm sb ki bato ko exchange krta rhta hu , hhhh, aur ye Neha ye hm sbki in harakto ka hisab yaani ki bill book rkhti h "




" Waah waah, kya bat h manager sahab , mja aa gya , shi point bithaye ho ab aage bhi sunao " Vaasu taali bajate huye bola.



" Lekin bat to history sunane ki hui thi" pari ne muh bnate hue kha 



" Ha to phle jis cheej ki history sun rhe ho use samjhna bhi jaruri h na meri dadi ma " vaasu bola .



" Theek h" bolke pari chup ho gai.



Vibhu aage bola-


" Jaise banking ka kam to hmesha se hi kisi na kisi tareeke se hota hi aa rha hai, kbhi cheejo ke len den k jriye to kbhi udhaar ya giravi k jriye, iska koi particular starting point nhi hai, vese hi hm sato dosto ki dosti shayad hmare paida hone se bhi phle, pichhle janm se bhi phle ki h, jrur hm sb kisi n kisi tareeke se alg alg jagho pr ek dusre k dost rhe hi honge "




" Ha aur is janam me finally unhone hm sbko ek hi jgh paida kiya aur sbko ek sath dosti ka gift diya, bilkul ek organization ki trh, dosti of hindustan, mst nam


 h na " Neha boli.



"Ha meri maa, bilkul sach kha, isi trh 1770 me india ke bikhre hue banking system ko bhi ek bank mila , Bank of Hindustan, jo ki kolkata me tha. Bad me fir ise 1832 me bnd kr diya gya. Jaise hm sbki ladai ho gai thi 5th class me , maine pari ki nak tod di thi tb, bs vesa hi"



" Ha lekin fir Sanwar ne ladai khtm krne ki koshish ki to thi kitni bar , aur hmari dosti bachane k liye phli bar usne mujhse aur pari se sauda bhi kiya tha 5 toffee ke badle tumse fir se dosti krne ka , un toffee ki keemat ab tk de rhe h " Sanyogi ne kha




"Are pr vo koshishe bhi General Bank of India aur Oudh commercial bank jaisi thi, general bank sirf 1786 se 1791 tk chal ska aur Oudh commercial bank to phla commercial bank tha, ye Sanwar k toffee k len den jaisa lekin vo bhi 1881 se 1958 tk chla fir bnd ho gya. " Vibhu ne samjhaya.



" Dekh Vibhu aisa nhi h, toffee ka sauda fail hone k bad mene teri mummy aur pari ki mummy ki dosti karai thi aur Vaasu ki bua ko bhi unke group me shamil karvaya tha tb jake to tm teeno ki dosti hui thi , yad h na tm teek ki tikadi sbse jayada famous thi school me aur tm teeno hm sbse jyada ek dusre k touch me rhte ho abhi bhi" Sanwar ne apni mahan koshishe yad dilate hue kha.




" ha ha bhai bilkul shi, vo mammy aur bua ki dosti wala idea tera pkkaa kam kr gya tha bilkul vese hi jaise bank of bengal jo ki 1806 me aaya tha,  bank of bombay jo 1840  me aaya tha aur bank of Madras jo 1843 me aaya tha in teeno ko merge krke 1921 me Imperial bank of india bnaya gya tha aur vo itna successful hua ki abhi tk kam kr rha h" vibhu bola.




" Abe ye kon sa bank h " pari ne pucha.



"Vhi jisme tere poore khandan ka saving account h aur uska app bhi tu chalati h, SBI, imperial bank of India ko hi 1955 me State Bank of India ka nam diya gya tha . "




" Are to iske alava aur koi bank successful nhi rha us time " pari ne pucha.



" Are hua na, hmare Sanwar ki ek hi koshish kamyab hui thi dosti krane ki lekin SBI k alava aur bhi bank us time bne the jo successful rhe jaise ki Allahabad bank jo 1865 me aaya tha, Punjab National Bank jo 1894 me aaya tha "




" Are are ha ha iska head quarter to us time Lahore me tha na " Sanyogi boli




" Ha lekin bad me new delhi head quarter bn gya , pta h PNB phla bank h jisme me poori trh se indian capital hi use hui thi aur iske bad bank of india bhi 1906 me aaya , fir bank of baroda 1908 me aaya aur last me central bank of india 1911 me aaya. Ye sb successful banks rhe h " vibhu ne btaya.



" Ha shi h , hm sb bhi to 6th class tk aate aate saari ladai bhool k achhe dost bn hi gye the , bt fir tujhe class ka monitor bna diya gya aur fir se hm sbme ladai hui tb roj roj ki ladai khtm krne k liye hm sbne Sanwar ko apne friend circle ka head bna diya tha taaki vo hm sbko handle kr ske, aur usne itne salo se hm sbke ladai jhagde sb solve krke hm sbko sath rakhaa , thanku yr Sanwar aaj bhi 2 sal bad hm sb tmhari vjh se hi mil paye h " neha ne muskurate huye kha.



" Aisa kuch nhi h neha, tm sb khud bhi is dosti me rhna chahte the mene to bs ek dusre ki misunderstandings hi door ki h hmesha bs " Sanwar ne bhi emotional hote hue kha. 



" Nhi yr tune bahut kiya h hm sbke liye bilkul vese hi jaise RBI krti aai h hmesha, sbhi banks k liye, 1935 me Reserve Bank of India ko bnaya gya jise 1926 me bni Hilton young commission ke recommendation pr form kiya gya tha. Aur isi k sath india me banking k advancement ka second phase start hua " vibhu khade hote huye bola.



" Ohh achaa to ab tk first phase chl rha tha kya "pari ne puchha.



" Ha bilkul usi trh jis trh 6th class tk hm sbki dosti ka first phase chal rha tha, isi trh 1947 se phle tk banking ka first phase chl rha tha " Vibhu bola.



" Hmm aur ab second phase aur bhi jyada interesting hoga, aakhir mai jo aa gai hun " piya ne room me aate huye kha. Use dekhkr Vibhu hairan rh gya jbki Sanwar aur sanyogi muskura rhe the. 



...... To be continued.๐Ÿ˜Š 


Note - itna to aap samjh gye honge ki ye short story ya article.nhi h, ye series h, complete story h jiske character aur relations sb aapko banking awareness ki duniya ki เคธैเคฐ krayenge


, off course mai bhi sath rahungi. ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„ Mai first time banking awareness learn kr rhi hun isliye mujhse galtiya ho skti h , jha glti dikhe vha btana, taaki mai use shi kr sku. Aur ha ye character meri hi ek horror series se maine liye h , nhi nhi use jake pdne ki jrurt nhi h mai uskii koi link bhi nhi dene wali , sirf padai pe dhyan do ๐Ÿค“๐Ÿค“๐Ÿค“๐Ÿค“๐Ÿค“ aur banking story pdo, samjho aur group k credit k sath share kro mere jamooro ๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„๐Ÿ˜˜๐Ÿ˜˜ aur ha sbke birthday wishes k liye thanku so much yr, sbke reply nhi de pai bt sbko ek sath thanku , mujhe nhi pta aap sbka birthday kb aata h so please dm krke bta dena ๐Ÿ˜„๐Ÿ˜„ mai bhi yhi krti hu khud hi sbko btati hu aur ghr me 8 din phle se gati firti hu ,๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ๐Ÿคฃ๐Ÿ˜…๐Ÿ˜…๐Ÿ˜…, khushiyo k liye intjar kya krna, koi khud se wish kre, kiske pas time h itna kisi ko yad nhi rhta so sbko batao aur duaye lo ๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜Ž๐Ÿ˜Ž❤️❤️๐Ÿ’“๐Ÿ’“๐Ÿ’“  ๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜ chalo ab next episode likhenge jldi hi agr ye wala psnd aaya sbko, agr psnd nhi aaya to fir se try krenge . ๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€ 


Credit -. Aastha ma'am ๐Ÿ˜


Join @practice_mind